Article Mobile View » AIUSSA
×

“ Hello, tester3  test please, go to “create new” menu and follow next steps to register or create new related to options. But, kindly note that, “Create New” is not normally open to all & has some restrictions as per user grade & type."

logo

Article Mobile View

Mobile View

Type: Article
Created By: Goutam Kumar Jena
Title: Bk Murali June 2017(from 8th June )
Unique Id: 170607153905 Create Time: 2017-06-08 02:39:05 Update Time: 21-06-2017 01:35:59 Category: Education Subcategory: Murali Summary: Murali, Srimat Bhagabat Gita, Magic Flute, Brahmakumaris Murali
Table of Content of This Article
Details ( Page:- Murali Dtd 8th June 2017 )

08.06.17                                    

Pratah Murli Om Shanti Babdada Madhuban


Mithe bacche - deha sahit in aankho se jo kuch dekhte ho- usey bhool ek Baap ko yaad karo kyunki ab yah sab khatam hone wala hai.


Q- Satyug me rajya pad ki lottery win karne ka purusharth kya hai?


A- Satyug me rajya pad lena hai to apne upar poori nazar rakho. Andar koi bhi bhoot na rahe. Agar koi bhi bhoot hoga to lakshmi ko bar nahi sakenge. Raja banne ke liye Praja bhi banani hai. 2) Yahan he rona proof banna hai. Kisi deha dhaari ki yaad me sonk aaya, sarir choota to pad bhrast ho jayega isiliye Baap ki yaad me rehne ka purusharth karna hai.


Dharna ke liye mukhya saar

D- 1) Kisi bhi deha dhaari me apni buddhi nahi latkani hai. Yaad ka record thik rakhna hai. Kabhi bhi rona nahi hai._______

2) Apne shanti swadharm me sthit rehna hai. Shanti ke liye bhatakna nahi hai. Sabko is bhatakne se choodana hai. Shantidham aur Sukhdham ko yaad karna hai.


Vardaan


V- Kalp Kalp ke bijay ki noondh ko smruti me rakh sada nischint rehne wale nischay buddhi bijay bhava.-------Nischay buddhi bacche byabahar wa parmarth ke har karya me sada bijay ki anubhooti karte hain. Bhal kaisa bhi sadharan karm ho, lekin unhe bijay ka adhikar abasya prapt hota hai. Way koi bhi karya me swayang se dilsikasth nahi hote kyunki nischay hai ki kalp kalp ke hum bijayi hai. Jiska madadgar swayang Bhagwan hai uski bijay nahi hogi to kiski hogi, is bhavi ko koi taal nahi sakta! Yah nischay aur nasha nischint bana deta hai.


Slogan


S- Sada khushi ki khoorak dwara tandroost, khushi ke khazane se sampann khushnoom: bano.


End of Page